Bahana

27 01 2010

raat ka andhera tha nazar tu mujhko aaya na
ab tu hi bata kya karun bahana yeh mujhko jo bhaya na

bhala nazrein mila kar yun zara hichkicha kar yun
anayat kar kay woh chupchupati jhalak

har ik ko pata tha kahan mein khara tha
mein kaisay yeh manoon saya mera tujh pay na para tha

na dekha jo tu nay yeh khata thi teri ya thi teri raza
zarab jo lagi hay seenay pay meray yeh tujhko pata hai

woh ghairon ki khatir tera khilkhilakar muskurana
rangon ki mehfil mein yun achanak kho jaana

chandani raat mein mera teray peechay aana
woh sab theek hay par yeh tera bahana?

har ghari us raat mein kashmukash mein raha
dil mera tha kahan aur jism mera tha kahan

raat ko kissi mehfil mein ab na jaaon ga mein
yeh behana tera har kissi ko bataon ga mein!