Tum Saath Ho Jab Apnay

17 03 2010

tum saath ho jab apnay
duniya ko dikha dein gay
hum maut ko jeenay kay
andaaz sikha deingay!

mana kay andheron kay
gehray hein buhat saye
par ghum hay yahaan kisko
aati hay to raat aye
hum raat kay seenay mein
ik sham’a jala deingay!

hum to hein dilwale
khanjar say nahin marter
hum zulfon kay kaidi hein
sooli say nahin darte
sooli ko bhi zulfon ki
zanjeer bana deingay

aye ahl-e-jahaan tumko
nafrat ki hay beemari
bharkaya karo sholay
phenka karo chinghari
hum pyaar ki shabnam say
har aag bhuja deingay!





Intizaar

27 01 2010
shola-e-intizar liye dil mein
kaanton kay sarhanay soyay hum
tum aab-e-wafa laye bus itna ke
palkein hi sada bhigoyein hum
raah teri pay jami rahi nazar
mana isko kartay rahay hum
faryad ki thee bas itni hi ke
dil mein dafan hon teray hum
samjhay na teray inkaar ko jo
gehrai-e-soch mein rahay hum
gor kand bhi humse hua khafa jo
ansuon ki ganga mein bahay hum