Tumhein Dillagi Bhool Jani Pare Gi

17 03 2010

Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Muhabbat ki raahon mein aa kar to dekho
Chorus

Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Muhabbat ki raahon mein aa kar to dekho
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
Kabhi dil kissi se laga kar to dekho
Chorus

Honton ke paas aye hansi, kya majaal hai
Dil ka muamla hai koi dillagi nahin

Zakhm pe zakhm kha ke ji
Apne lahoo ke ghont pi
Aah na kar labon ko si
Ishq hai dillagi nahin

Dil laga kar pata chaley ga tumhein
Aashiqui dillagi nahin hoti

Kuch khel nahin hai ishq ki laag
Paani na samajh ye aag hai aag

Khoon rulaye gi ye lagi dil ki
Khel samjho na dillagi dil ki

Yeh ishq nahin aasaan
Bas itna samajh leejay
Ik aag ka darya hai
Aur doob ke jaana hai

Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Muhabbat ki raahon mein aa kar to dekho
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
Kabhi dil kissi se laga kar to dekho
Chorus

Wafaaon ki hum se tawaqo nahin hai

Wafaaon ki hum se tawaqo nahin hai
Magar ek baar aazma kar to dekho
Zamanay ko apna bana kar to dekha
Humein bhi tum apna bana kar to dekho

Khuda ke liya chor do ab yeh parda…

Rukh se naqab utha, ke bari der ho gayi
Mahol ko tilaawat-e-quraan kiye hoye
Khuda ke liye chor do ab yeh parda…

Hum na samjhe teri nazron ka taqaza kya hai
Kabhi parda kabhi jalwa yeh tamasha kya hai
Khuda ke liye chor do ab yeh parda…

Jan-e-jan hum se uljhan nahin dekhi jaati
Khuda ke liye chor do ab yeh parda…

Khuda ke liya chor do ab yeh parda
Keh hain aaj hum tum nahin ghair koi
Shab-e-wasl bhi hai hijaab iss kadar kyon
Zara rukh se aanchal utha kar to dekho

Jafaaein buhat kien buhat zulm dhaye
Kabhi ik nigah-e-karam iss taraf bhi
Humesha huay dekh kar mujh ko barham
Kissi din zara muskura kar to dekho

Jo ulfat mein har ek sitam hai gawara
Yeh sab kuch hai paas-e-wafa tum se warna
Satate ho din raat jiss tarha mujh ko
Kissi ghair ko youn sata kar to dekho

Agarche kissi baat par woh khafa hain
To acha yehi hai tum apni si kar lo
Woh maanein na mannein yeh marzi hai unki
Magar un ko pur-nam mana kar to dekho

Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Muhabbat ki raahon mein aa kar to dekho





Ya Rabba!

17 03 2010

One of the songs you are tempted to listen to over and over again….

Ya Rabba!
Pyaar hai ya sazaa, aye mere dil bata?
Tootata kyon nahi dard ka silsila?

Is this love or a punishment, oh my heart tell me?
why does it not break, the sequence of pain?

Iss pyaar mein hon kaise kaise imntihaan
Ye pyaar likhe kaisi kaisi dastaan

What kinds of tests are there in this love
What kind of stories does this love write

Ya rabba de de koi jaan bhi agar
Dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar

Oh God, even if someone gives up his life
It has no effect at all on the lover

Kaisa hai safar wafa ki manzil ka
Naa hai koi hal dilon ki mushkil ka

What is this journey to the destination of loyalty
There is no solution to the trials of heart.

Dhadkan dhadkan bikhri ranjishein
Saansein saansein tooti bandishein

In every beat (of the heart) there are complaints scattered
In every breath the rhythm of music breaks

Kahin to har lamha honton pe fariyaad hai
Kisi ki duniya chaahat mein barbaad hai

Somewhere there is a plea to God in every moment
Someone’s world is destroyed in desire/love

Koi na sune sisakati aanhon ko
Koi na thaame tadapati baahon ko

No one listens to the sobbing eyes
No one holds the agonizing arms

Aadhi aadhi puri khwaishein
Tooti phooti sab farmaaishein

Half fulfilled are dreams/wishes
Requests are all broken.

Kahin shak hain kahin nafrat ki deewaar hai
Kahin jeet mein bhi shamil pal-pal haar hain

There is suspicion sometime and a wall of hatred at other times
Defeat is entrenched every moment in victory somewhere

Na poocho dard bandon se
Hnsi kaisi khushi kaisi…?

Don’t ask people what pain is
what happiness and what laughter…?

Musibat sar pe rehati hain
Kabhi kaisi kabhi kaisi

There is always some kind of trouble brewing
Sometimes like this and sometimes like that

O Rabba….

Oh God!





Intizaar

27 01 2010
shola-e-intizar liye dil mein
kaanton kay sarhanay soyay hum
tum aab-e-wafa laye bus itna ke
palkein hi sada bhigoyein hum
raah teri pay jami rahi nazar
mana isko kartay rahay hum
faryad ki thee bas itni hi ke
dil mein dafan hon teray hum
samjhay na teray inkaar ko jo
gehrai-e-soch mein rahay hum
gor kand bhi humse hua khafa jo
ansuon ki ganga mein bahay hum