Laut Aao

17 03 2010

Kahan se dhoondon teri yaadon ke sahare
Tujhe nahin dil mera yeh pukare
Tune kiya meri dil ke saath jaan-e-man
yeh kaisa dhoka batana!

Tere bin roya mera dil bechara
Kahan se dhoondon ab naya koi sahara
Zakhm ban ke mere dil pe yoon jiya
Hua haal bura hai jana

Jawab to dega na mujhay yeh zaman
haal to mera beeta bohat aashiqana
Pyar hua yeh kyun lagta hai
Waqt hua hai kyun anjana!

Mujhe yoon na rulao
Mujhe yoon na satao
Mujhe yoon na tarpao…
Laut Aao… Laut Aao…

Sehra mein bhatka mein begana
Umeed ka nahin yahaan koi thikana
Kahan pe dhoondoon tujhko
batlaye koi mujhko jaan-e-jaana

Guzare tere saath jo bhi waqt mein ne
Khari hamare beech waqt ki chatanein
Kaise lautay guzra zamana
Tu hi bata jaan-e-jaana

-chorus-

Kaun sune ga iss dil ki sadaa?
Kaun bane ga iss marz ki dawa?
Aur kaun bane ga mera apna?
Bas tujhse hai poochna…

Waqt ne diya jo bhi dhoka
Dushman bhi na deta ho ga
Kash guzra waqt wapas aata
Mein tujhko phir samjhata

Tu meri jaan ka hissa hain
Meri aankhon ka tu tara hai
Mera dil bas yeh tumhara hai
Mere khwabon ka nazara hai…

-chorus-

Laut aa… Laut aa…
Sehra chaanay heini mein ne sadiyon se
Dhoonda hai tujhko in galiyon mein
Sehra chaanay heini mein ne sadiyon se
Dhoonda hai tujhko in galiyon mein

-chorus-